amazon for seller ke liye ye video dekhe
Amazon for seller par online business karne ke liye kaha registar kare
amazon for seller -amazon par business karne ke liye ya amazon ke online portel ke madhaym se apne products ko sell karne ke liye sabse pehle apko amazon ki website Amazon central seller ke registration link par click karke ek online seller account banana hoga.
Amazon for seller ( Amazon par seller banne ke liye) documents
Amazon seller india ke online platefom ke madhaym se apne products sell karne ke liye niche diye gaye documents ki need hoti hai
- GST registation no.
- PAN no.
- Bank account no. (bank khata no.)
- Products ke liye trade licence
Amazon platform par apne products ki listing kaise karein
Amazon par in 4 tariko se aap listing kar sakte hai
- Scaning ke madhaym se
amazon for seller par listing karne ke liye sabse pehle ap google play store ya ios app store par amazon seller app download kar lijiye, yadi apke products par barcode (UPC, EAN, or ISBN) hai to amazon seller app ke home screen ke top right corner wale button ko daba kar ap unko scan kar sakte hai, yadi barcode pehle se hi amazon.in par hai to ap us barcode par pehle products ko apne product se milan karke sidha us barcode wale product se jod sakte hai.
2. Apne products ko existing products ki list se match karke
jo products aap sell karna chahte hai, beh pehle se hi amazon.in par ho to apko apne products ko amazon par dubara scan karne ya add karne ki jrurat nahi hoti,
Balki ap pehle se maujud products mai hi apne products ki jankari de skate hai, adhiktar moko par aapke dwara sell karne wale products kisi aur company ya seller ka amazon par pehle se hi rehta hai, ap is tarha apne products se amazon par pehle mojud products ka milan karke hi apne products ki amazon.in pr listing kar skte hai, aisa karne ke baad aapko apne sirf apne products ke offer ki jankari dena hoti hai.
3. Prepare your listing ka use karke
yadi apke sabhi products ki list apke pass MS excel sheet mai hai, to aap prepare your listing ka use karke apne products ki listing kar sakte hain.
4. Custom inventory template ka use Bulk listing ke liye
custom inventory template ka use karke aab apne product ko amazon par list kar sakte hain.
Aap amazon ke iss link par click karke aur adhik jankari le skate hai
Amazon par products ko store aur delivery karne ke options
yadi apke pas apne products ko store karne ke liye jagha ya unko grahako tak pahuchane ke liye staff ya transport aadi kami hai to isme mai bhi amazon apki help kar sakta hai ,amazon se FBA (fulfilment by amazon) scheme ke tahat add hokar aap tension free hokar apne business par dhayn de sakte hai, FBA scheme ke tahat apke products ko store karne se lekar grahako tak delivery ka sara theka amazon comapny ka hoga, amazon company ke lagbhag every city mai unke store/godam tranport company se contacts aur company mai delivery boy apke liye yeh kaam kar sakte hai.
Amazon online business ke madhayam se earning kaise kare
amazon company ke dave anusar upar likhe madhay se sell kiye apke products ke paise apke khate mai 7 days ke andar aa jate hai, apke every product ko sell karne ke liye amzon apni bikari fees kaat kar apke paise apke account mai bhejta hai, yeh fees every products ke liye alag alag ho sakta hai, bikri fees ke alawa yadi apne apne saman/product ki delivery ka theka FBA (fulfilment by amazon) scheme ke tahat amazon company ko hi diya hua hai to uske liye bhi amazon apke product ki bikari aay mai se kuch paiso ki katoti FBA fees ke roop mai bhi karta hai.
Amazon online business karne ka puri process (how online bussiness start)
amazon company online platefom ka use karke apne products ki sell in 5 types se kar skte hai
(1) Amazon par apna new seller account banaye ya registar kare
(2) apne products ko amazon account par list kare
(3) Grahak apke products ko dekh kar pasand karte hai aur khridte hai
(4) apne products ko grahako tak pahuchaye (amazon ki FBA ki help le skate hai)
(5) Sale huye product ke paise sidha apke bank account mai aa jayenge
For amazon customer service
ap amazon ki website par jakr for amazon customer srvice ka use karke apne products ki listing or amazon mai apne product ki jaankari kar sakte hai.
isse bhi pdhe – Flipkart seller kaise bane (Flipkart for seller)
Agar apko ye lekh pasand aayi ho to aisi hi latest knowledge aur tips ke liye humari website ko subscribe jarur karein.
Apne business ke cashflow aur udhaari ko manage karne ke liye humare app Bahi Khata ko bhi use karein : Download Link - Bahi Khata App
Dhanyavad 🙏