Bahi Khata Bahi Khata

Fayde Ki Baat

  • Baatein
Download App
Flipkart Seller Kaise bane

Flipkart seller kaise bane (Flipkart for seller)

Bahi Khata
Bahi Khata

Apr 19, 2022

flipkart for seller ke liye ye video dekhe

How to make use flipkart for seller - iss internet ke yug mai padhai se lekar naukari tak aur shopping se lekar business tak sab online se kiya jata hai. India mai internet ka use bahut kiya jata hai, pichle kai barso mai india mai bhi products ki online shopping mai increase hua hai, india mai flipkart aur amazon do aisi badi  ecommerce company hai, jinke madhaym se bahut online shopping ki jati hai. yadi online shopping adhik ki jati hai to in online platfom ke madhaym se apne products ki online bikri ke liye bhi Possible hai.

yadi ap ak business man hai to ya fir ap ak business krne ki soch rahe hai to is lekh mai apko flipkart company ke online portal ke madhyam se products ki online bikri ka aasan trika samjhaya jayega. flipkart  online portal ya e commerce  platform ka use karke apne product ko bechne wale vyakti/firm/company ko flipkart seller bolte hai. dekhte hai flipkart seller kaise bane.

Documents List Flipkart seller banne ke liye/flipkart for seller

1. Sabse pehle apni ek company/ firm banaye

2. Apni company/firm ke naam par PAN no. , TAN no. aur GST registration no. lijiye

3. Apni company/firm ka bank Khata kholein

Upar wale all documents/no. ko add karvate huye flipkart ki  flipkart seller login kare

Flipkart seller account banane ke liye

1. Sabse pehle ap seller.flipkart.com website par jaye.

2. uske baad vahan pr apna mobile no. enter kare aur vahan diye gaye register now par click karein

3. mobile no. par aaye OTP se apna mobile no. verify kare

4. uske baad vahan par maangi gyi jankari fill kare for example - apna naam , company ka naam, pin code, PAN no, GST aur email id  fill kare

5. ab ap GST registation ki copy, ek cancelled cheque ki copy etc. upload kare

6. uske baad ap batayi gye tareeke ke anusar apne bank account ko verify karein

7. Aab ap apne flipkart seller account mein sell karne wale products ki listing karein

8. Aab apka flipkart seller ke roop mein registration ho chuka hai aur aap apne saman/products ko online flipkart portal ka use karke online sell kar sakte hain.

hamne apko flipkart seller banne ya flipkart par online business karne ka aasan tarika bataya hai. Aap iss jankari ka laabh utha kar apne business ek nayi height tak pahucha sakte hain. Yahan par aapke shehar hi nahi balki pura India apke saman/products ka grahak ho sakte hai.

‌‌Agar apko ye lekh pasand aayi ho to aisi hi latest knowledge aur tips ke liye humari website ko subscribe jarur karein.

Apne business ke cashflow aur udhaari ko manage karne ke liye humare app Bahi Khata ko bhi use karein. : Download Link - Bahi Khata App

Dhanyavad 🙏

Never Miss an Article!

Get Access to our Posts as Email Newsletter. Subscribe us now !
Yes, I'm In!
Career Guidance - Youtuber, Vlogger

Career Guidance - Youtuber, Vlogger

Agar aap digital marketing mein videos se paise kamane chahtein hain to aap apna  youtube channel cr

Read More ..
Priya

May 24, 2022
Brand Approval on Flipkart

How to get Brand approval on Flipkart ?

Approval ke liye apply karne se pehle aapko yeh samjhna hoga ki brand approval hota kya hai aur iski jaroorat kyo padti hai ?

Read More ..
Ravi Sharma

May 12, 2022

© 2021 All rights Reserved - Bahi Khata Inc.

Company
  • About Us
  • Contact Us
Partners
  • Investors
Legal
  • Terms of Services
  • Privacy Policy