Amazon par product listing kaise kare

Amazon par product listing kaise kare?


Amazon ek aisi website hai jisme badi aur choti sabhi type ke wholesale companies ke product sell hote hai. Ye world ki sabse badi e-commerce website hai jis par A to Z sabhi products available hote hain. App agar business owner hai to amazon seller account bana kar is par apne products bhi sell kar sakte hain.  Amazon seller par account banane ke liye ye article padhe - Open Amazon Seller Account

Video - Amazon par product listing kaise kare?

Amazon par product listing kaise kare?

Amazon par product listing step by step

1. Sellercentral.amazon.in - Sabse pehle aap Chrome browser mein sellercentral. amazon.in website ko open kare, apne account ko Email aur password se login kare

https://sellercentral.amazon.in

2. Dashboard - Ab aap Amazon ke seller dashboard par aa gye hai yaha aap Left corner mai 3 line (burger menu) par click kare

seller dashboard

3. Inventory - Inventory par jaise hi click karenge apko 5th no. par Add a Product par click karna hoga.

Inventory -> Add a product

4. I am adding a product not sold on amazon - Is par click kare

I am adding a product not sold on amazon

5. Search - Search bar mai apko apne product ka naam likhna hai , jise hi aap product ka naam likhenge neeche kuch apke product se related kuch category aa jayegi un category mai se kisi ek category ko select kare

Search category

6. Vital Info - Yaha par aap apne product se related details fill kare jaise neeche sample details dikhayi gyi hai.

Product Descrioption - Vital Info
Vital Info Continued
Vital Info

7. Variations - Agar apka product ka variation jaise size, Number Of Items, Color, Material type  ka hai to inme se jo apke product se match kahte hai unhe tick kare aur product variation add kar le.

Variations

8. Offer - Jo picture mai details hai unhe fill kare

Add Offer
offer

9. Image - Apne product ki 5 picture upload kare

Add Images/Screenshots of Products

10. Save and finish - Is par aap click kare

save and finish to list product

Ab apke product ki listing ho gyi hai aur 24 - 48 hours mein apka product Amazon par live ho jayega.

Note - Is tarha se aap Amazon par apne product ki listing kar sakte ho.

Agar aapko ye article pashand aaya ho to aisi hi latest knowledge aur tips ke liye humari website ko subscribe jarur karein.

Apne business ke cashflow aur udhaari ko manage karne ke liye humare app Bahi Khata ko use karein: Download Link - Bahi Khata App

Dhanyavad 🙏