Gold Rate today

How to Calculate Price of your Gold Jewellery & Gold Rate Today


Gold Rate Today

Apni gold jewelry ke rate ki calculation karne se pehle, aapko kya kya pata hona chahiye aaiye jante hain.

1. Karat (K) kya hota hai?

Karat ek measure hai gold ki purity ka aur 24 k(karat) gold pure gold hota hai. Karat 200 mg ke barabar ek unit hoti hai.

24 Karat Gold Rate Today

2. 24 Karat gold, 22 Karat gold , 20 Karat gold aur 18 Karat gold kya hota hai?

  • 24 k Gold = 100 % purity
  • 22 k Gold = 91.6 % purity
  • 20 k Gold = 83.33% Purity
  • 18 k Gold = 75% Purity hoti hai

Designer jewellery k liye 14 k gold aur 18 k gold ka upyog karte hain. Aap neeche di gaye images mein, 14 karat aur 18 Karat sone ke color mein antar dekh sakte hain :

3. Humein 24 Karat(k) gold rate kyu chahiye hota hai ?


Gold ki rate jo jewellery shop ya internet par publish ya display ki jaati hai wo 24 k  gold  (99.99% purity wale) ke hoti  hai.

Lekin 24 k gold ka istemaal jewellery banane mein nahi kiya ja sakta hai. Pure gold ya 24 karat gold apni softness k karan jewellery banane ke liye appropriate nahi maana jata hai kyunk wo asani se moda aur twist kiya jaa sakta  hai.

  • Jewellery banane ke liye, humein metal ko apni shape ko banaye rakhne ki quality chahiye taaki vah diamond, ruby, etc. jaise precious stones ki pakad bana sake.
  • Isliye, sone ko kuch dusre metals  jaise copper ke saath milaaya jaata hai taaki ise gahane banane k liye majboot banaya  ja sake.
Gold Rate Today

24 carat se gold rate of 22 carat kaise calculate karein?

Aapko 24 karat(k) gold rate ko 0.916 se multiply karna hai 22 karat gold rate nikalne k liye. Samanya tareeke se 18 k ka rate nikalne k liye 0.75 se multiply karein.
Agar aaj ka 24K  Gold ka price 30,000 Rs / 10 gram.

  • 22K  Gold ka price hoga Rs. 0.916 * 30000 = Rs. 27480
  • 18K  Gold ka price hoga 0.75 * 30000= Rs. 22500 prati 10 gram.

4. India mein Gold Jewellery ki value kaise calculate kare ?

Jewellery ki Price = Gold rate/gram x Gold jewellery ka weight(in gm) + Making charge/gram + GST ( Jewellery + making charge par)

Example:

Maan lijiye, Aap 22 karat gold chain kharidna chahte hain 12 grams ki aur 22 Karat Gold ki rate jeweller ne uss din ki Rs. 52,870 / 10 grams , jeweller ke  making charges hain 15%; tab final jewellery ka price calculate karne k liye aapko niche diye gaye steps k hisab se calculation karni hogi. For Example :

  • 10 grams k 22 Karat Gold rate hai = Rs. 52,870
  • 12 grams k 22 Karat Gold  ka rate = Rs. 52870/10 * 12 = Rs. 63,444
  • Making charges = 15% of 63,444 Rs = Rs. 9,517
  • Tax ke bina Gold ki chain ki total value = 63,444 Rs + Rs. 9517 = Rs. 72,961
  • GST @ 3% total price par = 72,961 par 3% = Rs. 2189
  • Total price with tax = Rs. 72961 + Rs. 2189  = Rs. 75,150

Toh , Aap ki sone ki chain ka final bill hai Rs. 75,150

Forms of Gold available in the Market:

  1. PHYSICAL
  • GOLD Jewellery
  • Gold Coin Scheme
  • Gold savings schemes

2. PAPER GOLD

  • Gold exchange-traded funds, Sovereign Gold Bonds (SGB)

3. Digital Gold

Digital Gold

App digital gold paytm, phonepe jaisi apps se khareed sakte hain.


Finance se related aur article padhne k liye Subscribe karein aur APP Download karein.
Download App: Bahi Khata